Thursday, August 27, 2009

आवाज़...!!!!

Chitkaar kar, Hoonkar kar
Aasmaan ko paar kar
Sooraj ki aankhon mein aankhen daal
aankhen laal kar.

Hat na piche
Chahe koi bhi kiche
Saarthi ban jeevan ka
Kathin raaste paar kar.

Aag jala sine mein
Doob kar pasine mein
Tu bhi apni kashti paar kar
Ja, Apne sapne saakar kar.

Khol man ke darwaaze
Sun chikhti chillati aawazen
Aawazon se aawaz mila
Kamjoriyon ki neeben hila
Uth, Jeevan yun na bekaar kar
Aage badh, lalkaar kar
Jeet ki jay jay kaar kar.

Andar baitha hai tere wo aahankaar
Kar raha teri shakti taar taar
Nikaal bahar,Man ko saaf kar
Us "Nirakar" ke liye dil ko taiyaar kar.

Aaj kamjoriyon par parcham lehrana hai
Har andhere ko door bhagana hai
Unchaiyon se tu dar mat
Chad ja, sab kuch thokar maar kar.

Swarg ki iccha karna hai bekaar
Mushkilon mein hi hai apna sansaar
"Abhinav" raaste taiyaar kar
Ja,"Khuda" se jaakar didar kar.


AKJ

11 comments:

  1. waah :)... bahut hi khubsoorat tareeke se likha hai yaar, ekdum "feel" ke sath :), mazaa aa gaya padhke kasam se... hats off 2 u :)

    ReplyDelete
  2. Bhai kya cheez hai be tum???? kya likh dete ho....kasam se.....macha diye ho bhai.........mark my words Mr. Jha......U r sure to make a mark in this world.....I vouch for u n ur creativity...;) too gud

    ReplyDelete
  3. madhav and raunak (madhav's frnd)September 2, 2009 at 5:00 AM

    hello bhaiya
    aapki yeh kavita padh kar dil khush ho gaya
    kaafi uttejit karne waali kavita hai yeh
    very nice

    ReplyDelete
  4. @Deepak...thanx man...thanx for all the motivation......

    @Aashu....aashu i always look forward to u yaar for all the literary inspirations....nd i now very few can parallel what u have gt.....


    @Madhav & raunak...Thanks guys....hope ki tumlog uttejit hue hoge meri kavita padhkar...tabhi is kavita ka sahi uddeshye poora hoga...

    ReplyDelete
  5. i know...u have this creativity in u...gifted by Almighty...hope u will take this to the next level...my gud wishes r always with u...n my blessings too(being an elder brother)....

    :-)

    ReplyDelete
  6. Kamjoriyon ki neeben hila.. :O
    Us "Nirakar" ke liye dil ko taiyaar kar.. :O :O

    is par koi tippani karna bhi humari aukaat nahi..

    kamzoriyon ke danvon ko lalkara hai aapne aise..
    ram bhi na kar paye ravan-hanan jaise..

    dude..yahan kya karing aap maharaj...jaiye publisher ke paas..

    ReplyDelete
  7. swarg ki iccha karna hai bekaar...muskilon me hi hai apna sansar......the very intellectual persona can only think that way..... i am totally spell bound!

    ReplyDelete
  8. chilla chilla ke mat apni energy barbaad kar.
    apne dard ka na tu tun khule bazaar me ijhaar kar
    aa aake me mere pehlu me ro tu..
    aur apne aasuon se mere damman ka satkar kar..

    ...kuch jyada hi kharab likh diye khair tumhari kalpana tak pahuch paana waise bhi mere bas me nahi hai..:)

    ReplyDelete
  9. @ Arpan- aap isi tarah protsahan badhate rahen..sayd kabhi publisherke pass bhi jaane ka mauka mil jaye....

    @ Saurab D thnks man....smhow i m able to write smthing.... :)

    @baccha...abe kya sayari mara hai bhai....acchi comapny mein reh ke humko bhi sikhne ka mauka mil jata hai.....

    ReplyDelete
  10. @bachcha: as usual macha diya bhai....saala tera shayari padh k tata motors ka mailbox bakar yaad aa gaya bhai....kya mast bakar hota tha.....missing u guys yaar...;(

    ReplyDelete
  11. @Abhinav: Inspiring piece of poetry. But it would be better if you write in Hindi.

    ReplyDelete