Thursday, April 9, 2009

Bhraman

Subah sabere brahman ko nikla tha
mujhe kya pata din chad nikla tha
khair chodo us subah dopahari ki jhanjhat
batata hoon tumhe ek jannat ki bemishal rangat

sadak kinare ek stri khadi thi.
jaane kya kya bech rahi thi
chichilati dhoop use senkh rahi thi
pass hi uske bacche baithe the
jinke peton mein aag lagi thi

man hi man kuch soch rahi thi
sayad apne bhagya per ro rahi thi.
kyon ishwar ne diya jan
aah! garibi jala rahi hai tan man

garibi dekhi to hua hairan pareshan
per unko kya jo janm lete garibi mein
aur garibi mein hi dete apne pran
haan! garibi hi unka antim hashr ,antim nishan

pata nahin brahman ka udeshya poora hua ya nahin
parantu ek prarthana ke sabdon ki rachna jaroor ho gayi.
aaj ishwar se mein kehta hoon
namaskar!
sun lijye ye choti si prarthna barambar!

dena ho janm yadi agle janm mein
mat dena garibi ke aant sthal mein.
are nahi! sun . kya kehta mera "abhinav " gyan
garibi hi acchi hai
kam se kam "Mukti" ka dwar to banti hai

Abhinav