Wednesday, September 30, 2009

लम्हा.....!!!!

For all the loners like me.... :)




Shaam ke dhundhalke mein
Subah ki nami thi
Sab kuch tha mere pass
Phir bhi kuch kami thi.

Man mein umadta ek toofan tha
Hulchul thi,
Jaane main kyon shaant tha
Per man kahan maanne wala tha
Wo to ab sab kuch jaane wala tha
Lekin kitna andhera tha
Sitare kahan,jugnuyon ka basera tha.

Reh reh kar lamhon ke panne ulat rahe the
Samay ke aaine mein hum khud ko dekh rahe the
Har lamhe mein ek tasveer thi
Wo tasveeren kitni sajeev thin.
Gum tha,khushi thi
Umang tha,hanshi thi
Per har tasveer mere dil ke kareeb thi.

Lamhon ke panne mein
Jindagi ulat raha tha
Aaj mera jeevan
Lamhon mein simat raha tha

Wo dekho
Main maa ka aanchal tatol raha tha
Pita ki ungli pakde
khusiyan bator raha tha.

Bhai paas tha
Behan saath thi
Dost bhi kareeb the
Har raat diwali ki raat thi.

Samay ki dhool mein
Sab kuch dhak gaya
Jaane wo lamha
Mujhse kab chin gaya

Aaj main hoon,mera akelapan hai
Jaane kis uljhan mein ye jeevan hai
Saamne itni badi jindagi padi hai
Per jaane kyon ,mujhe beete lamhon ki padi hai.

Un lamhon mein masoomiyat thi, bholapan tha
Paraye rishton mein bhi apnapan tha
Aaj kahani bilkul ulat hai
Swarth se har ek jeevan rat hai
Pehle har lamhe mein "abhinav" jeevan dikhta tha
Aaj poora jeevan ek lamha dikhta hai.


AKJ